7 best ways and rules to become rich

Hello Dosto,

Hum sabhi jaante hai ki paisa hamaari life me kitna important hai. Kahate hai ki agar aaj hum paisa bachaate hai to kal paisa hamko bachaayega. So hamain bahut jaldi paise ki importance samaz leni chaahiye.

Jitna jarori or cheeje hai hmaari life me utna hi important paisa ya money bhi hai. Paise ke bina hum apni life aaram se nahi kaat sakte hai.

Aaj me aapko paise ke baare me 7 Rules to become rich btaane ja raha hun. Ye rule ya steps har kisi ke liye applicable hai. To chaliye  jaante hai kya hai ye rule or steps or kaise inko follow karke hum ameer ban sakte hai.

7 Rules to become rich :

1. Never depend on single source of income:

Dosto first rule hai kabhi bhi kisi ek income source par depened mat raho. Maximum log aajkal job pr depend rahte hai. Ek Month kaam karne ke baad next month ke starting aayi salary sabhi ko bahut achi lagti hai.

Pr socho ke achaank kuch essa hua ke aapko job se nikal diya gya ya company band ho gyi jahan aap kaam krte ho ya aapki job choot gyi kisi bhi karan se. To aapke paas or kya income source hai jahan se aap paisa kamaa sakte hai?

2. Save atleast 10% of your income:

Dosto second rule hai ki aap apni income ka 10% save karo jisse ki aapko aage  chal kar life mai kisi bhi  problem ka saamna krne pade to kuch na kuch jo aapene save kiya hai wo aapke kaam aa ske.

Aap jitna bhi kamaate ho usi ke hisaab se aap apni income save karen . jaise ki aapke  pass kal ko koi source na ho income ka to aap apni saving se apna ghar  ka kharcha kar skte hai. Agar aap chaahe to isse jyada bhi save kar  skte hai 20% ya 30% tak.  Ye aapki income or kharchon pr depend karta hai.

Jaise ki Warren Buffett kahte bhi hai ki pahle apni income ka kuch hissa save kar lo or jo bache usme sara kharcha manage karo naaki pahle kharch karo aur jo bache usko save karo.

3. Never increase expenses with income:

Jaise jaise hmaari income badhti jaati hai vese vese hmaare kharche bhi badhte jaate hai. jaise ki pahle hum normal jeans pahnte the phir hum branded jeans pahenane lag padte hai jo ki normal jeans se expensive hoti hai.

Isi tarah hum mehangi se mehangi cheeje use krne lagte hai. main ye nahi bol raha hu ke mehangi cheeje mat khareedo. Aap mehangi cheejen tb khareedo jb sach me aapko uski jaroorat ho. Agar sasti cheej se aap kaam ho raha hai to aapko jyada mehangi cheej khareedne ki jaroorat nahi hai.

4. You need to develop a money mindset:

Dosto ye forth and important rule hai to become rich. Aapko money mindset bnana padega. Aapko pta hona chaahiye ki mene kitne paise kmaaye hai or kitna mene kharch kiya hai. Aapko paisa kmaane ke alag alag tarike dhundane chaahiye. Aapka dhyaan paise bchaane or invest krne pr hona chaahiye na ki faaltu kr kharche karne par.

Agar aap dhyaan se soche or kuch extra income ka source generate kr le to aap aaram se job ke saath bhi achaa khassa paisa earn kar sakte hai.

5. Don’t go broke trying to impress others:

Hum Log dikhaba bahut karte hai. Hum log uoon logo ko impress karne ki kosish karte hai jinko hmse koi lena dena nahi hai or kisi kisi ko koi fark nahi pdta ki aap mehngi cheej khareed rahe ho.

For example apka kaam normal android phone ya nomal keypad waale phone se bhi ho jaayega lekin hum logo ko impress krne ke liye iphone ya koi or mehnga phone khareed lenge chaahe hamain wo chalaane bhi na aaye. Lekin phir bhi hum apna status dikhaane ke liye usko khareed lenge.

6. Never stop learning and invest in yourself:

Seekne ki koi umar nahi hoti hai. Hame hamessa kuch na kuch sikhte rehne chaahiye. Apni skills ko improve karte rehna chaahiye. Hame koi na koi skill sikhni chaahiye jisse hum paisa kmaa sake and become rich. Wo skill koi bhi ho sakti hai.
Next hai hame apne uper invest karna chaahiye. Apni skill ko badhaane ke liye koi online course khareed sakte hai. Koi motivational ya educational book khareed sakte hai. Hamesa apni learning ke uper invest kariye. aur agar aap kuch learn krte hai to us cheej ko apply bhi kariye.

Jaise maan lijiye aapne blogging sheehi to apna ek blog create kariye or uss blog pr wo skills apply kariye. Agar aapne share market ki skills sheekhi to kuch share karidiye ya kuch or skill sheekhi to apni us skill ko kahi na kahi apply karo.

7. Avoid bad debt at all costs:

Dosto yahan jo last point me aapko btaane ja raha hu wo hai Avoid bad debt. Iska matlab hai jo bhi cheeje hai jinse aapka faaltu kharcha badhta hai ya kisi na kisi tarike se aapki jeb se paisa faaltu me ja raha hai un cheejon ko avoid karo.

Jyada se jyada apne assets create kro. Apni ek assets ki list bnaoo. Assets ka matlab hota hai aapke income ke source jahan se aapke paas paisa aa raha hai. Aapko pta hona chaaiye ki kahan kahan se aapke paas income aa rahi hai.

Jistne jyada aapke paas assets honge utne jyada chaances hai aapke ameer banane ke.

Conclusion:

Dosto ant me yahi kaehna chaahunga ke aap in rules ko apni life me jaroor follow karo or ameer banane ki teyaari suru kr do. I hope aapko hmaari ye post 7 best ways and rules to become rich. agar aap money se related apna knowledge or badhana chaahte hai to ye book jaroor padhiye. Ye one of the best selling book hai.

Mene ek post me Dream 11 ke baare me btaya hai jahan se aap paise kmaa sakte hai. Agar aap chaahe to wo bhi padh sakte hai.

Agar aapko ye post informational lagi ho to aap aage share kr sakte hai or aapka koi question ya suzhaab ho to aap niche comment bhi kar sakte hai.

Leave a Comment Cancel reply

Exit mobile version